tiranga
Jaag uthega bharat
Gar jo
Dil main hai tiranga
Pragati ke path par hai bharat
Leker Hatho main tiranga
Jaag uthega bharat
Gar jo
Dil main hai tiranga
Pragati ke path par hai bharat
Leker Hatho main tiranga
Mitti ki khusboo se peda
Tino rang hai eske
Garv hume hai lekar apne
Seene main tiranga.
Kesaryiya tyaag ka rang hai
Hare main jivan ka varnan hai
Swaet hai sachchai se prarit
Desh par nyochavar tan man hai
Tujhko har pal
Meri sanso ka
Naman hai tiranga.
Dharma ka chakra sene par lekar
Chalta hai garv se hardam
Har woh jisne jaan liya hai
Desh ko maa sam maan liya hai
Rukna nahi niyati jivan ki
Maa ke aanchal ki khusboo se
Mahka hai tiranga.
Seema par pahredaro ki
Dharkan ki har
Dhak dhak par Har pal
Bajta hai tiranga.
Mere mann main
Tere mann main
Bharat ke har jan ke tan ( body)main
Nitya umeng bhar jati
jab
udta hai tiranga.
Sara desh jhoom jata jab
jan gan man ke
madur swaro main
lahrata hai tiranga.
Hindu muslim sikh isai
niche ek tirange ke sab
sabhi dharma hai bhai bhai
desh se bada nahi koi hota
sikhlata hai tiranga.
Veero ki vani se sajta
Sada shakti ki barish karta
Surya ki abha sa damakata
Prabal( strong) hai tiranga.
Aao hum sab milkar prann lain
Apni antim sanso tak hardam
Kabhi nahi jukne denge ese
Jivan hai tiranga.
Hum sabke ke
Dil main hai tiranga.
JAI HIND
आज पहली बार यह ब्लॉग देखा। बहुत अच्छा लगा। 'तिरंगा' पढ़कर मन भाव-विभोर हो गया। इसी प्रकार सृजन से जुड़े रहने की कामना के साथ बहुत-बहुत बधाई।
ReplyDelete